Loading Now

Waqf Amendment Bill Live Updates: Lok Sabha Mein Garam Bahas Ke Baad Bill Pass Hua

Waqf board

Aaj Lok Sabha mein Waqf (Amendment) Bill, 2025 ko Union Minority Affairs Minister Kiren Rijiju ne introduce kiya. Yeh bill Joint Parliamentary Committee (JPC) ki recommendations par based hai aur iska aim hai Waqf properties ka better management, technology-driven monitoring, legal processes ka simplification aur transparency ka promotion.
Jaise hi yeh bill Lok Sabha mein introduce hua, members ke beech garam behas shuru ho gayi. Rijiju ne House mein kaha ki Waqf Bill ka naam badal kar “Unified Waqf Management Empowerment, Efficiency and Development (UMEED) Bill” rakha gaya hai.

Opposition vs. Government – Political Tussle

Congress ke deputy leader Gaurav Gogoi ne ilzaam lagaya ki yeh bill Constitution ko dilute karne ki ek koshish hai. BJP MP Ravi Shankar Prasad ne Waqf ko sirf ek statutory body bataya aur sawal uthaya ki “Waqf Board ne ab tak kitne school aur hospital banaye hain?”
Akhilesh Yadav ne bhi debate ke dauraan BJP par tanz kaste hue kaha,
“Jo party apne aap ko duniya ki sabse badi party kehti hai, wo ab tak apna national president bhi nahi chun pai!”
Is statement ne political heat aur badhane ka kaam kiya.

Amit Shah Ne Congress Par Nishana Saadha

Union Home Minister Amit Shah ne Congress par misinformation failane ka aarop lagaya aur clear kiya ki yeh bill Muslim community ke religious matters mein koi dakhal nahi dega.
Unhone kaha,
“Jo keh rahe hain ki yeh bill Muslims ki religious properties par interference hai, wo sirf vote-bank politics khel rahe hain.”

AIMIM Chief Owaisi Ne Bill Ko ‘Unconstitutional’ Bataya

Asaduddin Owaisi ne Waqf Amendment Bill ko unconstitutional kararar diya aur BJP par religious conflicts create karne ka aarop lagaya. Unhone kaha,
“Is desh mein BJP sirf mandir-masjid ke naam par conflicts banana chahti hai.”
Lok Sabha mein 12 ghante se bhi zyada garam behas ke baad Waqf Amendment Bill finally pass ho gaya. Ab dekhna yeh hoga ki yeh bill ground level par kya impact daalega aur political equations ko kaise badalta hai.

Share this content: